Thursday, May 19, 2022
Dil Dhadakne ka Sabab Yaad Aaya | Nasir Kazmi Poetry
Saturday, May 14, 2022
Tujh bin kharab o khasta zubun | Meer Taqi Meer
Tujh bin kharab o khasta zubun
Sunday, March 6, 2022
Kamal e zabt ko khud bhi to azmaon gi | Parveen Shakir
Kamal e zabt ko khud bhi to azmaon gi
Kamal e zabt ko khud bhi to azmaon gi
Mein apne haath se us ki dulhan sajaon gi
Sapurd kar ke usay chandni k hathon main
Main apnay ghr k andheron ko lout aaon gi
Badan ke kharb ko woh bhi samjh na paye ga
Main dil main roan gi ankhon main muskraon gi
Wo kya gya ko rafaqt k saray lutf gaye
Main kis se rooth sakun gi kisay manaon gi
Ab us fun kisi aor se howa mansoob
Main kis ki nazam akele main gungunaon gi
Woh ik rishta e be naam bhi nahi laiken
Mein ab bhi us k ishaaron pe sar jhukaon gi
Bicha diya tha gulabon ke sath apna wajood
Wo so k uthay to khawabon ki raakh uthaon gi
Samaaton main ghanay junglon kis saansein hain
Mein ab kabhi teri awaza sun na paon gi
Jawaz dhoondh raha tha nai mohabbat ka
Woh keh raha tha k main us ko bhool joan gi
Poet : Parveen Shakir
Friday, February 25, 2022
Har rath tiri yad ko seene se nikala jaise | اوریا مقبول جان
Har rath tiri yad
har rath tiri yad ko seene se nikala
jaise
kasi mort ko dafene se nikala ak
khawahish nakam ko s ko chah del se
badley tera theor tho qareenay se nikala
paaon tree dehleez pay rakhne ke
sazawar tone jinhein takrim ke zeenay se
nikala sikka naheen chalta tree sarkar
main warna kia kia nah hunar hum né
khazine se nikala hum ese bre kia they
ke nafrat nah mohabat rakha nah kabhi
pass nah seene se nikala thokar main
talab kee rahe har umar main hum john
yo n jeet ke mafhoom ko jeena se nikala
Thursday, February 3, 2022
Jab gham meri dharkan meri bato | Wasi Shah
Jab gham meri dharkan meri bato
Monday, December 27, 2021
Aisa hai ke sab khawab musalsal nahi hote | Ahamad Faraz
Aisa hai ke sab khawab musalsal nahi hote
Wednesday, November 3, 2021
Ye naa thi hamari Qismat ke visaal e yaar hota | Mirza Ghalib
Ye naa thi hamari Qismat
Ye naa thi hamari Qismat ke visaal e yaar hota
Agr aur jeetay rehtey yahi intezar hota
Tere waadey par jiyee hum to ye jaan jhooth jana
Ke khushi se marr na jaatey agr aitabaar hota
Teri nazuki se jana ke baandha tha ahd-e-boda
Kabhi tu na torr sakta, agar istavar hota
Koi mere dil se poochey terey teer-e-neemkash ko
Ye khalish kahan se hoti jo jigar ke par hota
Ye kahan ki dosti hai k bane hain dost naseh
Koi chaarasaz hota koi gham gusar hota
Rag-e-sang se tapakta wo lahu ki phir na thamta
Jisa gham samjh rahe ho ye agar sharar hota
Kahun kis se main ki kya hai shab-e-gham buri bala hai
Mujhe kya bura tha marna agar ak bar hota
Hua mar ke hum jo ruswa hue kyun na gharq-e-darya
Na kahbi janaza uthta na kahin mazar hota
Ye masai-e-tasawwuf ye tera bayan "Ghaalib"
Tujhe hum wali samajhte jo na baada-khwar hota