Ye naa thi hamari Qismat
Ye naa thi hamari Qismat ke visaal e yaar hota
Agr aur jeetay rehtey yahi intezar hota
Tere waadey par jiyee hum to ye jaan jhooth jana
Ke khushi se marr na jaatey agr aitabaar hota
Teri nazuki se jana ke baandha tha ahd-e-boda
Kabhi tu na torr sakta, agar istavar hota
Koi mere dil se poochey terey teer-e-neemkash ko
Ye khalish kahan se hoti jo jigar ke par hota
Ye kahan ki dosti hai k bane hain dost naseh
Koi chaarasaz hota koi gham gusar hota
Rag-e-sang se tapakta wo lahu ki phir na thamta
Jisa gham samjh rahe ho ye agar sharar hota
Kahun kis se main ki kya hai shab-e-gham buri bala hai
Mujhe kya bura tha marna agar ak bar hota
Hua mar ke hum jo ruswa hue kyun na gharq-e-darya
Na kahbi janaza uthta na kahin mazar hota
Ye masai-e-tasawwuf ye tera bayan "Ghaalib"
Tujhe hum wali samajhte jo na baada-khwar hota
No comments:
Post a Comment