Best Urdu Poetry Collection: Nasir Kazmi

find last collection of sad poetry, shayari & urdu ghazal. Read and share the images of urdu shayari or urdu poetry by famous poets.

Showing posts with label Nasir Kazmi. Show all posts
Showing posts with label Nasir Kazmi. Show all posts

Sunday, July 16, 2023

Tire milne ko bekar ho gaye hain | Nasir Kazmi

July 16, 2023 0
Tire milne ko bekar ho gaye hain | Nasir Kazmi

 Tire milne ko bekar ho gaye hain

Tire milne ko bekar ho gaye hain
Tire milne ko bekal ho gae hain
Magar ye loga pagal ho gae hain

Baharen le ke ae thi jahan tum
Wo ghar sunsan jangal ho gae hain 

Yahan tak badh gae alam e hasti
Ki dil ke hausle shal ho gae hain

kahan tak taab lae na tavan dil
Ki sadme ab musalsal ho gae hain

Nigah e yas ko nend aa rahi hain
Mazha par ashk bojhal ho gae hain

Unhen sadiyon na bhulega zamana
Yahan jo hadse kal ho gae hain

Jihen ham dekh kar jite tha NASIR
Wo log ankhon se ojhal ho gae hain
Nasir Kazmi

Thursday, May 19, 2022

Dil Dhadakne ka Sabab Yaad Aaya | Nasir Kazmi Poetry

May 19, 2022 0
 Dil Dhadakne ka Sabab Yaad Aaya | Nasir Kazmi Poetry

 Dil Dhadakne ka Sabab Yaad Aaya 

Dil Dhadakne ka Sabab Yaad Aaya

Dil Dhadakne ka Sabab Yaad Aaya
woh tri yaad thi ab yaad aaya

aaj mushkil tha sambhlna ae dost
to museebat mein ajab yaad aaya

din guzaraa tha barri mushkil se
phir tera wada shab yaad aaya

tera bhola sun-hwa paiman wafa
mar rahen ge agar ab yaad aaya

phir kayi log nazar se guzray
phir koi shehar Tarb yaad aaya

haal dil hum bhi sunaate lekin
jab woh rukhsat sun-hwa tab yaad aaya

baith kar saya Gul mein nasir
hum bohat roye woh jab yaad aaya

Nasir Kazmi Poetry

Thursday, September 12, 2019

Duniya Ke Sitam Yaad Na Apni Wafaa Yaad...

September 12, 2019 0
Duniya Ke Sitam Yaad Na Apni Wafaa Yaad...
Duniya Ke Sitam Yaad Na Apni Wafaa Yaad

Ab Mujh Ko Nahi Kuch Bhi Mohabbat Ke Siwa Yaad

Mein Shikwah Ba Lab Tha, Mujhe Ye Na Bhi Raha Yaad

Shayad Ke Mere Bhoolnay Waalay Ne Kia Yaad

Kia Jaaniye Kia Ho Gaya Arbaab-e-Junoo.n Ko

Jeenay Ki Adaa Yaad Na Marnay Ki Adaa Yaad

Kia Lutf Ke Mein Apna Pataa Aap Bataaon

Kijiye Koi Bhooli Howi Khaas Apni Adaa Yaad

Muddat Howi Ek Haadsa-e-Ishq Ko Laikin

Ab Tak Hai Tere Dil Ke Dharaknay Ki Sadaa Yaad