Tire milne ko bekar ho gaye hain
Tire milne ko bekal ho gae hain
Magar ye loga pagal ho gae hain
Baharen le ke ae thi jahan tum
Wo ghar sunsan jangal ho gae hain
Yahan tak badh gae alam e hasti
Ki dil ke hausle shal ho gae hain
kahan tak taab lae na tavan dil
Ki sadme ab musalsal ho gae hain
Nigah e yas ko nend aa rahi hain
Mazha par ashk bojhal ho gae hain
Unhen sadiyon na bhulega zamana
Yahan jo hadse kal ho gae hain
Jihen ham dekh kar jite tha NASIR
Wo log ankhon se ojhal ho gae hain
Nasir Kazmi
No comments:
Post a Comment