Best Urdu Poetry Collection: AweSom GhaZals

find last collection of sad poetry, shayari & urdu ghazal. Read and share the images of urdu shayari or urdu poetry by famous poets.

Showing posts with label AweSom GhaZals. Show all posts
Showing posts with label AweSom GhaZals. Show all posts

Sunday, July 16, 2023

Tire milne ko bekar ho gaye hain | Nasir Kazmi

July 16, 2023 0
Tire milne ko bekar ho gaye hain | Nasir Kazmi

 Tire milne ko bekar ho gaye hain

Tire milne ko bekar ho gaye hain
Tire milne ko bekal ho gae hain
Magar ye loga pagal ho gae hain

Baharen le ke ae thi jahan tum
Wo ghar sunsan jangal ho gae hain 

Yahan tak badh gae alam e hasti
Ki dil ke hausle shal ho gae hain

kahan tak taab lae na tavan dil
Ki sadme ab musalsal ho gae hain

Nigah e yas ko nend aa rahi hain
Mazha par ashk bojhal ho gae hain

Unhen sadiyon na bhulega zamana
Yahan jo hadse kal ho gae hain

Jihen ham dekh kar jite tha NASIR
Wo log ankhon se ojhal ho gae hain
Nasir Kazmi

Thursday, May 19, 2022

Dil Dhadakne ka Sabab Yaad Aaya | Nasir Kazmi Poetry

May 19, 2022 0
 Dil Dhadakne ka Sabab Yaad Aaya | Nasir Kazmi Poetry

 Dil Dhadakne ka Sabab Yaad Aaya 

Dil Dhadakne ka Sabab Yaad Aaya

Dil Dhadakne ka Sabab Yaad Aaya
woh tri yaad thi ab yaad aaya

aaj mushkil tha sambhlna ae dost
to museebat mein ajab yaad aaya

din guzaraa tha barri mushkil se
phir tera wada shab yaad aaya

tera bhola sun-hwa paiman wafa
mar rahen ge agar ab yaad aaya

phir kayi log nazar se guzray
phir koi shehar Tarb yaad aaya

haal dil hum bhi sunaate lekin
jab woh rukhsat sun-hwa tab yaad aaya

baith kar saya Gul mein nasir
hum bohat roye woh jab yaad aaya

Nasir Kazmi Poetry

Saturday, May 14, 2022

Tujh bin kharab o khasta zubun | Meer Taqi Meer

May 14, 2022 0
Tujh bin kharab o khasta zubun  | Meer Taqi Meer

 Tujh bin kharab o khasta zubun

Tujh bin kharab o khasta zubun


Tujh bin kharab o khasta zubun khwar ho gaye
Kya aarzu thi ham ko ki bimar ho gaye

Khubi e bakht dekh ki khuban e bevafa
Be hech mere darpai e azar ho gaye

Ham ne bhi sair ki thi chaman ki par ae nasim
Uthte hi ashiyan se giraftar ho gaye

Wo to gale laga howa sota tha khwab mein
Bakht apne so ga e ki jo bedar ho gaye

Apni yagangi hi kia karte hai bayan
Aghayar e ru siyah boht yar ho gaye

La e thi shaikon par bhi kharab tiri nigah
Be tala se apni wo hushiyar ho gaye

kaise hain wo ki jite hain saal ham to MIR
Is chaar din ki zist mein bezar ho gaye

Meer Taqi Meer

Sunday, March 6, 2022

Kamal e zabt ko khud bhi to azmaon gi | Parveen Shakir

March 06, 2022 0
Kamal e zabt ko khud bhi to azmaon gi | Parveen Shakir

 Kamal e zabt ko khud bhi to azmaon gi

Kamal e zabt ko khud bhi to azmaon gi

Kamal e zabt ko khud bhi to azmaon gi

Mein apne haath se us ki dulhan sajaon gi


Sapurd kar ke usay chandni k hathon main

Main apnay ghr k andheron ko lout aaon gi


Badan ke kharb ko woh bhi samjh na paye ga

Main dil main roan gi ankhon main muskraon gi


Wo kya gya ko rafaqt k saray lutf gaye

Main kis se rooth sakun gi kisay manaon gi


Ab us fun kisi aor se howa mansoob

Main kis ki nazam akele main gungunaon gi


Woh ik rishta e be naam bhi nahi laiken

Mein ab bhi us k ishaaron pe sar jhukaon gi


Bicha diya tha gulabon ke sath apna wajood

Wo so k uthay to khawabon ki raakh uthaon gi


Samaaton main ghanay junglon kis saansein hain

Mein ab kabhi teri awaza sun na paon gi


Jawaz dhoondh raha tha nai mohabbat ka

Woh keh raha tha k main us ko bhool joan gi


Poet : Parveen Shakir 


Friday, February 25, 2022

Har rath tiri yad ko seene se nikala jaise | اوریا مقبول جان

February 25, 2022 0
Har rath tiri yad ko seene se nikala jaise  | اوریا مقبول جان

 Har rath tiri yad 


ہر رات تیری یاد کو سینے سے نکالا 
جیسے کسی مورت  کو دفینے سے نکالا
اک خواہشِ  ناکام کو اس کو چۂ  دل سے
 بدلے تیرے تیور  تو قرینے سے نکالا
پاؤں تری دہلیز پے رکھنے کے سزاوار
 تونے جنہیں تکریم کے زینے سے نکالا
سکہ نہیں چلتا تری سرکار میں ورنہ
کیا کیا نہ ہنر ہم نے خزینے سے نکالا
ہم ایسے برے کیا تھے کے نفرت نہ محبت 
 رکھّا نہ کبھی پاس نہ سینے سے نکالا
ٹھوکر  میں طلب کی رہے  ہر عمر میں ہم جان 
یو ں جیت کے مفہوم کو جینے سے نکالا

har rath tiri yad ko seene se nikala jaise

 kasi mort ko dafene se nikala ak

 khawahish nakam ko s ko chah del se

 badley tera theor tho qareenay se nikala

 paaon tree dehleez pay rakhne ke

sazawar tone jinhein takrim ke zeenay se

 nikala sikka naheen chalta tree sarkar

 main warna kia kia nah hunar hum né

 khazine se nikala hum ese bre kia they

 ke nafrat nah mohabat rakha nah kabhi

pass nah seene se nikala thokar main

 talab kee rahe har umar main hum john

 yo n jeet ke mafhoom ko jeena se nikala

Thursday, February 3, 2022

Jab gham meri dharkan meri bato | Wasi Shah

February 03, 2022 0
Jab gham meri dharkan meri bato  | Wasi Shah

 Jab gham meri dharkan meri bato

Jab gham meri dharkan meri bato

Jab gham meri dharkan meri bato se ayan tha tu kahan tha
Jab charo taraf dard k darya ka sama tha tu kahan tha

Ab aya hai jab dhal gaye hain sabhi mosam maray humdam
Jab tairy liya mara har ehsas jawa tha tu kahan tha

Ab sirf khamoshi hai muqaddar ka sitara maray yaar
Jab lab pay faqt tera bayan tha tu kahan tha

Aab aya hai jab kaam dikhab bhi gaya sawan maray sajan
Jab chaar so mera liya khashion ka samaa tha tu kahan tha

Wasi Shah

Monday, January 31, 2022

Roz taaron ko numaish me | Rahat Indori

January 31, 2022 0
Roz taaron ko numaish me | Rahat Indori

 Roz taaron ko numaish me

Roz taaron ko numaish me



Roz taaron ko numaish me khalal parta hai
Chand pagal hai andheray me nikal parta hai

Aik dewana musafir hai meri aankhon me
Waqt be waqt thehrta hai chal parta hai

Apnin tabeer ke chakar mera jagta khawab
Roz suraj ki tarah ghar se nikal parta hai

Roz pathar ki hamayat mein ghazal likhte hai
Roz sheshon Se koi kaam parta hai

Us ki yad ayi hai saanson zara ahista chalo
Dharkno se bi ibadat me khalal parta hai

Rahat Indori Poetry

Friday, January 21, 2022

Khud mein toh sanjeeda hun per | Syed Azeem Haider

January 21, 2022 0
Khud mein toh sanjeeda hun per | Syed Azeem Haider

 Khud mein toh sanjeeda hun per

Khud mein toh sanjeeda hun per

Khud mein toh sanjeeda hun per
Duniya k liya mazaq hun main

Har koi mujhe par leta hai
Jab k gehra raaz hun mein

Mujhe toh main bhi bhool chuka
Kisi ko kasie yaad hun main

Wise toh mast malang hun per
Phir bhi boht udaas hun main

Boht fikar hai teri mujhe
Baaqi fikaron se azaad hun main

Poet : Syed Azeem Haider

Thursday, May 20, 2021

Monday, April 26, 2021

Wo jazbon ki tijarat thi ye dil kuch aur samjha tha | Best sad poetry

April 26, 2021 0
Wo jazbon ki tijarat thi ye dil kuch aur samjha tha | Best sad poetry

 Wo jazbon ki tijarat thi ye dil kuch aur samjha tha


 

Wo jazbon ki tijarat thi ye dil kuch aur samjha tha
Ussy hansny ki aadat thi ye dil kuch aur smja tha

Hamesha us aankhon me dhanak k rang hoty tha
Ye uss ki aam halat thi ye dil kuch aur smja tha


Wednesday, February 3, 2021

Hamesha Dair Kar Daita Hoon Main - Muneer Niazi

February 03, 2021 0
 Hamesha Dair Kar Daita Hoon Main - Muneer Niazi

  Hamesha Dair Kar Daita Hoon Main



Hamesha dair kar deta hoon main
Zaruri baat kahni ho, Koi wada nibhana ho

Use avaz deni ho, Use wapas bulana ho
Hamesha dair kar deta hoon main


Madad karni ho us ki, Yaar ki dharas bandhana ho
Boht derina raston par, Kisi se milne jaana ho
Hamesha dair kar deta hoon main