Tujh bin kharab o khasta zubun | Meer Taqi Meer - Best Urdu Poetry Collection

find last collection of sad poetry, shayari & urdu ghazal. Read and share the images of urdu shayari or urdu poetry by famous poets.

Saturday, May 14, 2022

Tujh bin kharab o khasta zubun | Meer Taqi Meer

 Tujh bin kharab o khasta zubun

Tujh bin kharab o khasta zubun


Tujh bin kharab o khasta zubun khwar ho gaye
Kya aarzu thi ham ko ki bimar ho gaye

Khubi e bakht dekh ki khuban e bevafa
Be hech mere darpai e azar ho gaye

Ham ne bhi sair ki thi chaman ki par ae nasim
Uthte hi ashiyan se giraftar ho gaye

Wo to gale laga howa sota tha khwab mein
Bakht apne so ga e ki jo bedar ho gaye

Apni yagangi hi kia karte hai bayan
Aghayar e ru siyah boht yar ho gaye

La e thi shaikon par bhi kharab tiri nigah
Be tala se apni wo hushiyar ho gaye

kaise hain wo ki jite hain saal ham to MIR
Is chaar din ki zist mein bezar ho gaye

Meer Taqi Meer

No comments:

Post a Comment