Best Urdu Poetry Collection: Wasi Shah

find last collection of sad poetry, shayari & urdu ghazal. Read and share the images of urdu shayari or urdu poetry by famous poets.

Showing posts with label Wasi Shah. Show all posts
Showing posts with label Wasi Shah. Show all posts

Thursday, February 3, 2022

Jab gham meri dharkan meri bato | Wasi Shah

February 03, 2022 0
Jab gham meri dharkan meri bato  | Wasi Shah

 Jab gham meri dharkan meri bato

Jab gham meri dharkan meri bato

Jab gham meri dharkan meri bato se ayan tha tu kahan tha
Jab charo taraf dard k darya ka sama tha tu kahan tha

Ab aya hai jab dhal gaye hain sabhi mosam maray humdam
Jab tairy liya mara har ehsas jawa tha tu kahan tha

Ab sirf khamoshi hai muqaddar ka sitara maray yaar
Jab lab pay faqt tera bayan tha tu kahan tha

Aab aya hai jab kaam dikhab bhi gaya sawan maray sajan
Jab chaar so mera liya khashion ka samaa tha tu kahan tha

Wasi Shah

Thursday, September 26, 2019

Thursday, September 12, 2019

Hijar ka naag to pathar ghayal kar deta hai...

September 12, 2019 0
Hijar ka naag to pathar ghayal kar deta hai...
Hijar ka naag to pathar ghayal kar deta hai,

Sonay jese shakhss ko peetal kar deta hai,

Mere ishq mein shayed koi kami huyi ho,

Tera hussn to ab bhi paagal kar deta hai,

Aesi lazzat kahin nahin milti, shayed woh,

Apna pyaar bhi chaaye mein hall kar deta hai,

Dil mera veeran hua to hasrat kesi,

Hijar ka zeher to daryaa ko thall kar deta hai,

Mujh ziddi ko rab bhi raazi na kar paye,

Lekin teri aankh ka kaajal kar deta hai,

Tere lamss ka jadu bhi kesa jadu hai,

Jiss ko chuu le us ko sandal kar deta hai,

Tera chahra har chehre per chaa jata hai,

Yeh manzar har manzar aujhal kar deta hai,

Aankh ke registaa’n ko teri yaad ka badal,

Chuu jaye to pal mein jal’thall kar deta hai.

Na tumhey hosh rahey...

September 12, 2019 0
Na tumhey hosh rahey...