Kamal e zabt ko khud bhi to azmaon gi | Parveen Shakir - Best Urdu Poetry Collection

find last collection of sad poetry, shayari & urdu ghazal. Read and share the images of urdu shayari or urdu poetry by famous poets.

Sunday, March 6, 2022

Kamal e zabt ko khud bhi to azmaon gi | Parveen Shakir

 Kamal e zabt ko khud bhi to azmaon gi

Kamal e zabt ko khud bhi to azmaon gi

Kamal e zabt ko khud bhi to azmaon gi

Mein apne haath se us ki dulhan sajaon gi


Sapurd kar ke usay chandni k hathon main

Main apnay ghr k andheron ko lout aaon gi


Badan ke kharb ko woh bhi samjh na paye ga

Main dil main roan gi ankhon main muskraon gi


Wo kya gya ko rafaqt k saray lutf gaye

Main kis se rooth sakun gi kisay manaon gi


Ab us fun kisi aor se howa mansoob

Main kis ki nazam akele main gungunaon gi


Woh ik rishta e be naam bhi nahi laiken

Mein ab bhi us k ishaaron pe sar jhukaon gi


Bicha diya tha gulabon ke sath apna wajood

Wo so k uthay to khawabon ki raakh uthaon gi


Samaaton main ghanay junglon kis saansein hain

Mein ab kabhi teri awaza sun na paon gi


Jawaz dhoondh raha tha nai mohabbat ka

Woh keh raha tha k main us ko bhool joan gi


Poet : Parveen Shakir 


No comments:

Post a Comment