Aisa hai ke sab khawab musalsal nahi hote
Aisa hai ke sab khawab musalsal nahi hote
Jo aj to hotey hain magr kal nahi hota
Andr ki fizaon ke krshme bhi ajab hain
Meen toot ke barsay bhi to baadal nahi hotay
Kuch mushkilain aisi hain ke aasan nahi hoten
Kuch aisy maumay hain kabhi hal nahi hota
Shayastagi gham ke sabab ankhon ke sehraa
Nmnak to ho jatay hain jal thal nahi hoty
Kaisay hi talatum hon magr qalzum jaan mein
Kuch yaad jazeery hain ke ojhal nahi hote
Ashaaq ke manind kayi ahal hawas bhi
Pagal to nazar atay hain pagal nahi hotey
Sab khuwaishe poori hon aisa nahi hai
Jaisay kayi ashaar mukammal nahi
Poet : Ahamad Faraz
No comments:
Post a Comment