Best Urdu Poetry Collection: Dard Poetry

find last collection of sad poetry, shayari & urdu ghazal. Read and share the images of urdu shayari or urdu poetry by famous poets.

Showing posts with label Dard Poetry. Show all posts
Showing posts with label Dard Poetry. Show all posts

Saturday, May 14, 2022

Tujh bin kharab o khasta zubun | Meer Taqi Meer

May 14, 2022 0
Tujh bin kharab o khasta zubun  | Meer Taqi Meer

 Tujh bin kharab o khasta zubun

Tujh bin kharab o khasta zubun


Tujh bin kharab o khasta zubun khwar ho gaye
Kya aarzu thi ham ko ki bimar ho gaye

Khubi e bakht dekh ki khuban e bevafa
Be hech mere darpai e azar ho gaye

Ham ne bhi sair ki thi chaman ki par ae nasim
Uthte hi ashiyan se giraftar ho gaye

Wo to gale laga howa sota tha khwab mein
Bakht apne so ga e ki jo bedar ho gaye

Apni yagangi hi kia karte hai bayan
Aghayar e ru siyah boht yar ho gaye

La e thi shaikon par bhi kharab tiri nigah
Be tala se apni wo hushiyar ho gaye

kaise hain wo ki jite hain saal ham to MIR
Is chaar din ki zist mein bezar ho gaye

Meer Taqi Meer

Sunday, March 27, 2022

Poetry in Urdu 2 Lines

March 27, 2022 0
Poetry in Urdu 2 Lines

 Poetry in Urdu 2 Lines

Poetry in Urdu 2 Lines

Poetry in Urdu 2 Lines


Teri Surat jo itefaq hum
Bhool jaye kya tamasha ho

Sog manao sahib 
Abu hum tumhare nahi rahy

Hain na mujhe galat fehmiyan k
Jab bhi tujhe samjha apna samjha

Phir kahin bhi panah nahi milti
Mohabbat jub be panah ho jaay

Kya kare giy jeet kar zamane ko 
Ham mohabbat ma harne wale

Tu kisi aur mayassar hai
Ise barh kar saza kya hoga

Koi shikwa nahi tum se agr ho bhi to kia hasil
Wohe rasmi sa ek jumla meri majbborian samjo

Tuesday, March 15, 2022

Parveen Shakir Best Shayari

March 15, 2022 0
Parveen Shakir Best Shayari

 Parveen Shakir Best Shayari

Parveen Shakir Best Shayari

Wo mujh ko chor ke jis Admi ke pass gaya
Barabari ka bhi hota to sabr aa jaata

Kamal e zabt ko khud bhi to azmaungi 
Main apne hathon se us ki gulhan sajaun gi

Kaise kah doon k mujhe chor diya hai us ne
Baat to sach hai magr baat hai ruswai ki

Chalne ka hosla nahi rukna muhal kar diya
Ishq ke is safar ne to mujh ko nidhal kar diya

Teri chahat ke begair janglon mein
Mera tan mor ban kar nachta hai

Saturday, October 5, 2019

Thursday, September 12, 2019

Kisi Ghareeb Qabeelay Ki Aabru Ki Trha...

September 12, 2019 0
Kisi Ghareeb Qabeelay Ki Aabru Ki Trha...

Husnn daulat ka saath deta hai...

September 12, 2019 0
Husnn daulat ka saath deta hai...

Siskian Leti Howi Ghamgeen Hawaon...

September 12, 2019 0
Siskian Leti Howi Ghamgeen Hawaon...
Siskian Leti Howi Ghamgeen Hawaon, Chup Raho

So Rahain Hain Dard, In Ko Mat Jagao, Chup Raho

Raat Ka Pathar Na Pighlay Ga Shuaaon Ke Bagair

Subaah Honay Tak Na Bolo Ham Nawao, Chup Raho

Band Hain Sab Mai Kaday, Saaqi Banay Hain Mohtasib

Ay Garajti Goonjti Kaali Ghataaon,Chup Raho

Tum Ko Hai Maaloom Aakhir Kon Sa Mausam Hai Ye

Fasl-e-Gul Aanay Talak Ay Khushnawao, Chup Raho

Soch Ki Deewaar Se Lag Kar Hain Gham Baithay Howay

Dil Mein Bhi Naghma Na Koi Gungunao, Chup Raho

Chhat Gaye Haalaat Ke Baadal Tou Dekha Jaaye Ga

Waqt Se Phele Andhairay Mein Na Jao, Chup Raho

Kiun Shareek-e-Gham Banaatay Ho Kisi Ko Ay Qateel

Apni Sooli Apne Kaandhay Per Uthaao, Chup Raho