Best Urdu Poetry Collection: Designed Urdu Poetry

find last collection of sad poetry, shayari & urdu ghazal. Read and share the images of urdu shayari or urdu poetry by famous poets.

Showing posts with label Designed Urdu Poetry. Show all posts
Showing posts with label Designed Urdu Poetry. Show all posts

Thursday, May 19, 2022

Dil Dhadakne ka Sabab Yaad Aaya | Nasir Kazmi Poetry

May 19, 2022 0
 Dil Dhadakne ka Sabab Yaad Aaya | Nasir Kazmi Poetry

 Dil Dhadakne ka Sabab Yaad Aaya 

Dil Dhadakne ka Sabab Yaad Aaya

Dil Dhadakne ka Sabab Yaad Aaya
woh tri yaad thi ab yaad aaya

aaj mushkil tha sambhlna ae dost
to museebat mein ajab yaad aaya

din guzaraa tha barri mushkil se
phir tera wada shab yaad aaya

tera bhola sun-hwa paiman wafa
mar rahen ge agar ab yaad aaya

phir kayi log nazar se guzray
phir koi shehar Tarb yaad aaya

haal dil hum bhi sunaate lekin
jab woh rukhsat sun-hwa tab yaad aaya

baith kar saya Gul mein nasir
hum bohat roye woh jab yaad aaya

Nasir Kazmi Poetry

Saturday, May 14, 2022

Tujh bin kharab o khasta zubun | Meer Taqi Meer

May 14, 2022 0
Tujh bin kharab o khasta zubun  | Meer Taqi Meer

 Tujh bin kharab o khasta zubun

Tujh bin kharab o khasta zubun


Tujh bin kharab o khasta zubun khwar ho gaye
Kya aarzu thi ham ko ki bimar ho gaye

Khubi e bakht dekh ki khuban e bevafa
Be hech mere darpai e azar ho gaye

Ham ne bhi sair ki thi chaman ki par ae nasim
Uthte hi ashiyan se giraftar ho gaye

Wo to gale laga howa sota tha khwab mein
Bakht apne so ga e ki jo bedar ho gaye

Apni yagangi hi kia karte hai bayan
Aghayar e ru siyah boht yar ho gaye

La e thi shaikon par bhi kharab tiri nigah
Be tala se apni wo hushiyar ho gaye

kaise hain wo ki jite hain saal ham to MIR
Is chaar din ki zist mein bezar ho gaye

Meer Taqi Meer

Saturday, February 12, 2022

Bewafa Poetry in Urdu | Jaun Elia

February 12, 2022 0
Bewafa Poetry in Urdu | Jaun Elia

 Bewafa Poetry in Urdu

Bewafa Poetry in Urdu


Bewafa Poetry in Urdu

Apni angrayon pe jabar na kar
Mujh pe qehar toot jane de
Hosh mara khushi ka dushman ha
Tu mujh hosh ma na an e de


Bat he kab kisi ki mani hai
Apni hat puri kar k choro gi
Ye kalai ye jisam or ye kamar
Tum surahi zarur toro gi

Tum ho janan shabab o husan ki aag
Aag ki tarah apni ach main gum
Phir mara baazuon pe jhuk aaein
Lo mujhay jala he daalo tum

Jaun Elia

Friday, October 15, 2021

Hath chuten bhi to rishte nahi chora karte | Gulzar shayari Urdu

October 15, 2021 0
Hath chuten bhi to rishte nahi chora karte  | Gulzar shayari Urdu

 Hath chuten bhi to rishte nahi chora karte


Hath chuten bhi to rishte nahi chora karte
Waqt ki shakh se lamhe nahi toda  karte

Jis ki avaz mein silvat ho nighon mein shikan
Aisi tasvir ke tukde nahi joda karte

lag k sahil se jo bahta hai use bahne do 
Aise dariya ka kabhi rukh nahi moda karte

Jagne par bhi ankh se girtin kirchen
Is tarah khwabon se ankhen nahi phoda karte

Shahd jine ka mila karta hai thoda thoda 
Jane wolon ke liya dil nahi thoda karte


Monday, October 14, 2019

Phiren hain rakhiyaan bandhe jo har dam husn ke taar

October 14, 2019 0
 Phiren hain rakhiyaan bandhe jo har dam husn ke taar
Nazeer Abkarabadi

Phiren hain rakhiyaan bandhe jo har dam husn ke taare

To in ki rakhiyon ko dekh ai jaan chaao ke maare

pahan zunnaar(thread) aur qashqa(tilak) laga maathe uper baare

"nazeer" aaya ha baamhan ban ke rakhi baandhne payaare

Bandhaa lo us se tum hans ke ab us tyohaar ki rakhi

Thursday, September 12, 2019