Tujh bin kharab o khasta zubun
Tujh bin kharab o khasta zubun khwar ho gaye
Kya aarzu thi ham ko ki bimar ho gaye
Khubi e bakht dekh ki khuban e bevafa
Be hech mere darpai e azar ho gaye
Ham ne bhi sair ki thi chaman ki par ae nasim
Uthte hi ashiyan se giraftar ho gaye
Wo to gale laga howa sota tha khwab mein
Bakht apne so ga e ki jo bedar ho gaye
Apni yagangi hi kia karte hai bayan
Aghayar e ru siyah boht yar ho gaye
La e thi shaikon par bhi kharab tiri nigah
Be tala se apni wo hushiyar ho gaye
kaise hain wo ki jite hain saal ham to MIR
Is chaar din ki zist mein bezar ho gaye
Meer Taqi Meer