Best Urdu Poetry Collection: AweSom GhaZals

find last collection of sad poetry, shayari & urdu ghazal. Read and share the images of urdu shayari or urdu poetry by famous poets.

Showing posts with label AweSom GhaZals. Show all posts
Showing posts with label AweSom GhaZals. Show all posts

Tuesday, January 26, 2021

Woh Bewafa Hai To Kya Mat Kaho Bura Usko | Naseer Turabi

January 26, 2021 0
Woh Bewafa Hai To Kya Mat Kaho Bura Usko  | Naseer Turabi

Wo bewafa hai to kya mat kaho bura us ko

Wo bewafa hai to kya mat kaho


Wo bewafa hai to kya mat kaho bura us ko
 Jo hua so hua khush rakhe khuda us ko

 Nazar na aaye to us ki talaash main rehna 
Kahin mile to palat kar na dekhna us ko

Wo saada khoo tha zamaane ke kham samajhta kya Hawa ke sath chala le udi hawa us ko

Tuesday, March 24, 2020

Mari nawa se huwa zinda arif o ami | Allam Iqbal

March 24, 2020 0
Mari nawa se huwa zinda arif o ami | Allam Iqbal

Mari nawa se huwa zinda arif o ami

Mari nawa se huwa zinda arif o ami
Diya hai main ne inhain zauq e atish ashami

Haram ke pas koi ajmi hai zamzama sanj
Ke tar tar huwa jama haye ahrami

Haqiat e abdi hai maqam e shabiri
Badalte rehte hain andaz e kufi o shami

Mujh ye dar hai muqamir hain pakhta
Na rang laya kahin tere hath ki khami

Ajab nahi k Musalman ko phir atta kar dain
Shikoh e sanjar o faqr e Junaid (R.A) o Bastami (R.A)

Qaba e ilm o hunar lutf e khaas hai warn
Tari nigah mein thi meri na khush andami

Wednesday, October 23, 2019

Yeh bhi fakhar hai ke kisi nay wafa ki full ghazal

October 23, 2019 0
Yeh bhi fakhar hai ke kisi nay wafa ki full ghazal
Yeh bhi fakhar hai ke kisi nay wafa ki 
Ban gaya mera mera zakhmo ki dawa ki 

Bhula hi dye mujhe is nay dukh sabhi 
Ban ke mil hai mujh ko nemat khuda ki

Main ney bhi manga usay khuda se
Is ney bhi mere liye dua ki

Ghulaab bhi khoob hai lekin mujhe hai pasand 
Mehak Is ke Hathon ki hina ki

Ban gya woh mera dil se Amir
Mohabbat ki hat ik Rasam is ney ada ki

Sunday, October 6, 2019

baarishein to hoti hai

October 06, 2019 0
baarishein to hoti hai

Saturday, August 31, 2019

Khamosh lab hain jhuki hain palken

August 31, 2019 0
Khamosh lab hain jhuki hain palken
Khamosh lab hain jhuki hain palken
Dilon mai ulfat nayi nayi hai
Abhi takaluf hai guftugu mai
Abhi muhabbat nayi nayi hai

Abhi na ayegi neend tum ko
Abhi na hum ko sukoon milega
Abhi to dharke ga dil zyada
Abhi ye chahat nayi nayi hai

Bahaar ka aaj pehla din hai
Chalo chaman mai tehel ke ayen
Fiza mai khushbo nayi nayi hai
Gulon mai rangat nayi nayi hai

Jo khandani raees hain wo
Mizaaj rakhte hain narm apna
Tumhara lehja bata raha hai
Tumhari dolat nayi nayi hai

Zara sa qudrat ne kya nawaza
Ke aake bethe ho pehli saff mai
Abhi se urhne lage hawa mai
Abhi to shohrat nayi nayi hai