Parveen Shakir Best Poetry 2 Lines
Yu tu zar zamen bhi hain magr aurat ho
Bays e wajh fasadat zaroti tu nahi
Aks e khushboo ho bikharne se na roke koi
Aur bikhar jaun to mujh ko na samete koi
Kuch to hawa bhi sard thi kuch tha tera khayal bhi
Dil ko khushi ke sath sath hota rah malal bhi
Apni ruswai tere naam ka charcha dekhu
Ik zara sher kahun aur main kya kya dekhu
Teri chahat ke begair jangalon main
Mera tan mor ban kar nachta hai
Kaise kah doon k mujh chor diya hain us ne
Bat to sachi hai magr bat hai ruswai ki
Kamal e zabt ko khud bhi to azmaugi
Main apne hathon se us ki dulhan sajaun gi
Parveen Shakir
No comments:
Post a Comment