Hamesha Dair Kar Daita Hoon Main - Muneer Niazi

  Hamesha Dair Kar Daita Hoon Main



Hamesha dair kar deta hoon main
Zaruri baat kahni ho, Koi wada nibhana ho

Use avaz deni ho, Use wapas bulana ho
Hamesha dair kar deta hoon main


Madad karni ho us ki, Yaar ki dharas bandhana ho
Boht derina raston par, Kisi se milne jaana ho
Hamesha dair kar deta hoon main

No comments:

Post a Comment